KHATA MERI
     KHATA MERI     har subeh ki ek shaam hoti hai,har rishte ka pehchan hota hai;   har shaksh doosron ke soch ka gulaam hota hai;   khud ko pehchan ke bhi khud se anjaan hota hai;   kisi ke khaatir khud ke raahon mai khud ka mehman hota hai;   khud ke liye khud ke gum ka paigaam hota hai;   doosron ke khaatir khud ki khusi ka khud ke liye armaan hota hai;   jinhe parwah nai hmaari unke liye ye dil bechain hota hai;   khud ke zameen pe kisi aur ka aasmaan hota hai;   jinse mohabbat karo unhi ke nafrat ka farmaan hota hai;   zindagi se khud ko bhula kisi aur ka makaam hota hai;   khud ke aansu pee ke kisi aur ka muskaan hota hai;