AADAT TERI
Khud ke gum bhi kho jaate hai jb paas tu hota hai.
Khud ko bhula dete hai jahan wo saaya tera hota hai.
Teri surat jab paas ho to soya sa hota hu es jahan ke liye
Na ho tu saamne to khoya sa hota hu es jahan ke liye
Teri muskurahat mai hi chipi hai meri subah - shaam
Teri nazron ke dayre mai hi karu saare kaam
Har harkat meri badal di tune,har maksad ko manjil mila
Har fitrat ko dhaala tune,har hasrat ko saahil mila.
Teri dosti ki aadat si ho gayi,teri baaton ki hasrat si ho gayi
Tera hi didaar karne ki ab to fitrat si ho gayi
Tu na hoti to aashiyan kho jaata,hone se hi khusiyan hoti
Na jaane kyn palkein aanshuwon se rubaru hoti
Zarre zarre mai tu hi maujood ,tujhse hi sukoon milta.
Jis raah pe tu nai,wahan bhi tera nisaan milta.
Comments
Post a Comment