KHATA MERI

KHATA MERI har subeh ki ek shaam hoti hai,har rishte ka pehchan hota hai; har shaksh doosron ke soch ka gulaam hota hai; khud ko pehchan ke bhi khud se anjaan hota hai; kisi ke khaatir khud ke raahon mai khud ka mehman hota hai; khud ke liye khud ke gum ka paigaam hota hai; doosron ke khaatir khud ki khusi ka khud ke liye armaan hota hai; jinhe parwah nai hmaari unke liye ye dil bechain hota hai; khud ke zameen pe kisi aur ka aasmaan hota hai; jinse mohabbat karo unhi ke nafrat ka farmaan hota hai; zindagi se khud ko bhula kisi aur ka makaam hota hai; khud ke aansu pee ke kisi aur ka muskaan hota hai;